bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
meri wafa ne ujaD di hain umid ki bastiyan basa ke
tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin
na dil ko malum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke
kabhi milenge jo raste mein to munh phira kar palaT paDenge
kahin sunenge jo nam tera to chup rahenge nazar jhuka ke
na sochne par bhi sochti hun ki zindagani mein kya rahega
teri tamanna ko dafn kar ke tere KHayalon se dur ja ke
Ghazal
Bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
Sahir Ludhianvi