اردو हिंदी
Bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa | Shaahi Shayari
bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa

Ghazal

Bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa

Iqbal Haider

;

bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa
par-e-parwaz sameTe to lahu sa phuTa

rasm-e-ashufta-sari mein hain gareban daman
falak-e-pir bata kaun hai sachcha jhuTa

chand suraj hue jate hain dhuen mein ru-posh
jaras-e-waqt kahan aag ka chashma phuTa

marsiyon aur qasidon se bhari hai mahfil
shahr-ashob se har rishta-e-danish TuTa

shajar-e-dard ki har shaKH hai kashkol-numa
sar-kashida hai magar bagh ka buTa buTa

wahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal'
na koi rabt bana aur na rishta TuTa