bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue
sahra mein phir raha hun balaen liye hue
dil wo ajib shahr ki jis ki fasil par
nazil hua hai ishq balaen liye hue
main wahshat-e-junun hun meri musht-e-KHak ko
phirti hain dar-ba-dar ye hawaen liye hue
dekha baghaur apni KHudi ka jo aaina
ubhre hazar chehre KHataen liye hue
ek shor gunjta hai musalsal KHalaon mein
hai lafz-e-kun bhi kitni sadaen liye hue
Ghazal
Bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue
Aas Mohammad Mohsin