اردو हिंदी
Bosida imaraat ko mismar kiya hai | Shaahi Shayari
bosida imaraat ko mismar kiya hai

Ghazal

Bosida imaraat ko mismar kiya hai

Gulzar Vafa Chaudari

;

bosida imaraat ko mismar kiya hai
hum logon ne har rah ko hamwar kiya hai

yun markazi kirdar mein hum Dube hain jaise
KHud hum ne Darame ka ye kirdar kiya hai

diwar ki har KHisht pe likkhe hain matalib
yun shahr ko aaina-e-izhaar kiya hai

binai mere shahr mein ek jurm hai lekin
har aankh ko rangon ne giraftar kiya hai

darpesh abad tak ka safar hai to badan ko
kyun bar-kash-e-saya-e-ashjar kiya hai