bolte bolte jab sirf zaban rah gae hum
tab ishaare se bataya ki kahan rah gae hum
hamein itni baDi duniya ka pata thoDi tha
jahan hum tum hua karte the wahan rah gae hum
hum makan bhi the makin bhi the ki bazar tha garm
phir KHasara hua aur sirf makan rah gae hum
der tak KHali makan KHali nahin chhoDte hain
aap tab the hi nahin aap ke han rah gae hum
ghar hi aisa tha ye kuchh dohri masahri wala
apna rahne ke alawa bhi yahan rah gae hum
ek aawaz ke do hisse hue Thik hua
tum wahan rah gae KHamosh yahan rah gae hum
panw darzon mein Tikae hue sar raKHnon mein
is nihan-KHane mein rah rah ke ayan rah gae hum
Ghazal
Bolte bolte jab sirf zaban rah gae hum
Shaheen Abbas