bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf
sara zamana aaj to hai yar ki taraf
jin aankh se liya tha dil ab wo rahi na aankh
hairat se dekhta hun ruKH-e-yar ki taraf
darban kabhi jo roke wo nazuk mizaj hain
munh kar ke soen hum na dar-e-yar ki taraf
haare hue ho boson ka kar lo abhi hisab
fazil hai kuchh hamara hi sarkar ki taraf
baiTha hai kab se muntazir yan par nigah-e-mehr
dekh aankh uTha ke talib-e-didar ki taraf
paDti hai jabki abru-e-qatil pe meri aankh
rah rah ke dekhta hai wo talwar ki taraf
dagh-e-riya sharab se dhone ke waste
zahid chala hai KHana-e-KHummar ki taraf
bulbul ne ki bahaar mein kis yas se ek aah
chaak-e-qafas se dekh ke gulzar ki taraf
paDhta hun fatiha main su-e-qabr-e-kohkan
hota hai jab guzar kabhi kohsar ki taraf
yun dil pe mere paDti hai aankh us ki jis tarah
jallad dekhta hai gunahgar ki taraf
karta hai shauq-e-dil ke ewaz mol husn ka
dallal bolta hai KHaridar ki taraf
aaina san hun aamad-e-dilbar ka hairati
ruKH su-e-dar hai pusht hai diwar ki taraf
phulon mein ye kahan KHalish-e-KHar ka maza
jaana junun na dasht se gulzar ki taraf
barbaad kar na KHak meri ai hawa-e-shauq
le chal uDa ke kucha-e-dil-dar ki taraf
kaun ab kare hamari taraf-dari ai 'qalaq'
dil tak hai apna apne dil-azar ki taraf
Ghazal
Bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf
Arshad Ali Khan Qalaq