bistar-e-hijr ki shiknon pe kahani likh de
aaj ki raat mere nam suhani likh de
bite salon ki tarah dushman-e-jaani likh de
ab ke KHat mein tu koi baat purani likh de
pyas is ret ki ashkon se bujhaun kaise
KHushk dariya ke muqaddar mein bhi pani likh de
husn ka Dhalna zaruri hai magar ai malik
us ke chehre pe mere dil ki jawani likh de
KHush-nawes aa ki tera fan bhi mahak jaega
barg-e-sarsabz pe ek raat ki rani likh de
jitna chahe mujhe gham aur ata kar lekin
us ke honTon pe tabassum ki rawani likh de

Ghazal
Bistar-e-hijr ki shiknon pe kahani likh de
Sayed Zia Alvi