bina roe guzarna us gali se
laga aisa gae hum zindagi se
jiya hun umr bhar main bhi akela
use bhi kya mila naraazgi se
hun jiska muntazir agle janam tak
mili to kya kahunga us pari se
lahu mein roz apne hi nahana
main aajiz aa gaya hun shaeri se
jhalak ek maut ki dekhe to manun
jise Dar lag raha hai zindagi se
koi phir se dilae ek jiwan
thakan hoti nahin aawargi se
kai jazbon ka ghar tha jaise main bhi
meri parten khulin diwangi se
kai chehre dikhe par baad un ke
mohabbat ho gai be-chehragi se
kisi surat alag hone na pai
teri taswir meri shaeri se
khaDa jab se hun main apne muqabil
ulajhta hi nahin hun main kisi se
teri yaaden hain ya suraj hai koi
ye aankhen bujh rahi hain raushni se
umiden thi hamein bhi chand se par
mohabbat hai use ab tirgi se
zarurat kya hai man mein jhankne ki
karo, gar baat kar pao nadi se
mere aansu jo tum jharne se bah jao
samundar tak pahunch jaun isi se
Ghazal
Bina roe guzarna us gali se
Navneet Sharma