اردو हिंदी
Bikti nahin faqir ki jholi hi kyun na ho | Shaahi Shayari
bikti nahin faqir ki jholi hi kyun na ho

Ghazal

Bikti nahin faqir ki jholi hi kyun na ho

Rauf Khair

;

bikti nahin faqir ki jholi hi kyun na ho
chahe rais-e-shahr ki boli hi kyun na ho

ehsan-e-rang ghair uThate nahin kabhi
apne lahu se khel wo holi hi kyun na ho

sach to ye hai ki hath na aana kamal hai
duniya se khel aankh-micholi hi kyun na ho

hai aasman wasia zamin tang hi sahi
tamir kar kahin koi kholi hi kyun na hu

haq par jo hai wahi sar o shana buland hai
hai warna be-bisat wo Toli hi kyun na ho

dariya ki kya bisat ki mujh ko Dubo sake
kashti kahin kahin meri Doli hi kyun na ho

talKHi mein bhi maza hai jo tu KHush-mazaq hai
pak jae to bhali hai nimoli hi kyun na ho

kuchh to hadis 'KHair' samajhne ke kar jatan
har-chand be-maza meri boli hi kyun na ho