اردو हिंदी
Bikharti TuTti shab ka sitara rakh liya maine | Shaahi Shayari
bikharti TuTti shab ka sitara rakh liya maine

Ghazal

Bikharti TuTti shab ka sitara rakh liya maine

Siddique Mujibi

;

bikharti TuTti shab ka sitara rakh liya main ne
mere hisse mein jo aaya KHasara rakh liya main ne

hisab-e-dostan karte to harf aata talluq par
uTha rakkha use aur goshwara rakh liya main ne

judai to muqaddar thi mujhe ehsas tha lekin
kaf-e-ummid par phir bhi sharara rakh liya main ne

zara si bund jo raushan hai ab tak KHalwat-e-dil mein
charagh-e-sham tera istiara rakh liya main ne

meri aankhon mein jo sayyal aainon ke TukDe hain
unhin TukDon pe maqtal ka nazara rakh liya main ne

KHushi KHairaat kar di aur zamane bhar ke ranj o gham
mere dil ko hua jitna gawara rakh liya main ne

meri dariya-dili ne bhar diya kasa samundar ka
badan par ret hathon mein kinara rakh liya main ne