اردو हिंदी
Bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai | Shaahi Shayari
bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai

Ghazal

Bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai

Mohammad Ajmal Niyazi

;

bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai
thaki-haari zamin apna zamana DhunDhti hai

shajar kaTte chale jate hain dil ki bastiyon mein
teri yaadon ki chiDiya aashiyana DhunDhti hai

yaqin ki sar-zamin zahir hui ujDe lahu mein
ye arz-e-be-watan apna tarana DhunDhti hai

bhaTakti hai tujhe milne ki KHwahish mahfilon mein
ye KHwahish KHwahishon mein aastana DhunDhti hai

tere gham ka KHumar utra adhuri kaifiyat mein
ye kaifiyyat koi mausam purana DhunDhti hai

bikharta hun judai ki akeli wusaton mein
ye virani mere ghar mein Thikana DhunDhti hai

meri miTTi sajai ja rahi hai aanganon mein
ye raston par taDapne ka bahana DhunDhti hai