bikhar ke ret hue hain wo KHwab dekhe hain
meri nigah ne kitne sarab dekhe hain
sahar kahen to kahen kaise apni subhon ko
ki raat ugalte hue aaftab dekhe hain
koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein
jo mausam aaya hai us ke itab dekhe hain
main bad-guman nahin hun magar kitabon mein
tumhaare nam kai intisab dekhe hain
kabhi ki ruk gai barish guzar chuka sailab
kai ghar ab bhi magar zer-e-ab dekhe hain
koi hamari ghazal bhi mulahiza karna
tumhaare hum ne kai intiKHab dekhe hain
panah DhunDte guzri hai zindagi 'kaifi'
jhulasti dhup mein sae ke KHwab dekhe hain
Ghazal
Bikhar ke ret hue hain wo KHwab dekhe hain
Haneef Kaifi