اردو हिंदी
Bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain | Shaahi Shayari
bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain

Ghazal

Bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain

Hasan Najmi Sikandarpuri

;

bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain
haalat ke hathon wahi ranjida rahe hain

in jalwon se mamur hai duniya mere dil ki
aainon ki basti mein jo nadida rahe hain

rindadan-e-bala-nosh ka aalam hai nirala
saqi ki inayat pe bhi nam-dida rahe hain

barson gham-e-haalat ki dahliz pe kuchh log
gul kar ke diye zehnon ke KHwabida rahe hain

har daur mein insan ne jiti hai ye bazi
har daur mein kuchh masale pechida rahe hain

insan ki surat mein kai rang ke patthar
hum sine pe rakkhe hue KHwabida rahe hain

mujrim ki safon mein hain wo mazlum bhi jin se
'najmi' ne jo kuchh puchha to sanjida rahe hain