bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai
dil ke darwaze par ab to KHamoshi ka pahra hai
sat samundar par jo aa kar dasht-e-faza ko dekha hai
ret ka manzar aankhon mein hai dil mein KHauf ka dariya hai
us ki kashti Dub gai thi bich bhanwar mein aa ke magar
kis mushkil se jaan bacha kar sahil tak wo aaya hai
zulmat ki rahon mein hum bhi gum ho kar rah jate magar
nur ka paikar sath hamare aage aage chalta hai
bhul gaya hun sab kuchh 'salim' mujh ko kuchh bhi yaad nahin
yaadon ke aaine mein ab ek ek chehra dhundla hai

Ghazal
Bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai
Mohammad Salim