bichhDe hain kab se qafila-e-raftagan se hum
mil jaenge kabhi na kabhi karwan se hum
rah rah ke puchhte hain yahi baghban se hum
le jaen chaar tinke kahan aashiyan se hum
majbur kis qadar hain dil-e-bad-guman se hum
dekhe koi ki chup hain khaDe be-zaban se hum
allah re uruj-e-taKHayyul ke hausle
chal kar makan se baDh gae kuchh la-makan se hum
baad-e-KHizan ne rang-e-chaman kya uDa diya
aaKHir ko nikle KHak-basar bostan se hum
kis munh se hath uThaen duaen hain be-asar
phir bhi hai dil mein chheD karen aasman se hum
wo mai pilai saqi ne hain jis se hosh-e-gham
jagen na jagen dekhiye KHwab-e-giran se hum
wo sarzamin kahan ki na ho gardish-e-falak
mumkin nahin ki bach ke rahen aasman se hum
aaKHir junun mein mil gain daman ki dhajjiyan
le aae un ko wadi-e-wahshat-nishan se hum
kam-maegi mein nazil hai ijz-o-niyaz par
ab kya uThaen sar ko tere aastan se hum
kaisi chamak kahan ki khaTak uf re be-hisi
hain mast zauq-e-lazzat-e-dard-e-nihan se hum
majbur dil tha hukm-e-qaza-o-qadar se 'shauq'
ab kya bataen aae yahan phir kahan se hum

Ghazal
BichhDe hain kab se qafila-e-raftagan se hum
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq