bichhaD ke tujh se na jite hain aur na marte hain 
ajib tarah ke bas hadse guzarte hain 
zamin chhoD na paunga intizar ye hai 
wo aasman se dharti pe kab utarte hain 
ye kis ne khinch di sanson ki laxman-rekha 
ki jism jalta hai bahar jo panw dharte hain 
ye chand tare zamin aur aaftab tamam 
tawaf karte hain kis ka tawaf karte hain? 
hayat deti hain sansen bas ek maqam talak 
phir is ke baad to bas sans sans marte hain
 
        Ghazal
BichhaD ke tujhse na jite hain aur na marte hain
Krishn Bihari Noor

