bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marna hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karna hai
hawa daraKHton se kahti hai dukh ke lahje mein
abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
main manzaron ke ghane-pan se KHauf khata hun
fana ko dast-e-mohabbat yahan bhi dharna hai
talash-e-rizq mein dariya ke panchhiyon ki tarah
tamam umr mujhe Dubna ubharna hai
udasiyon ke KHad-o-KHal se jo waqif ho
ek aise shaKHs ko aksar talash karna hai
Ghazal
BichhaD ke tujhse kisi dusre pe marna hai
Asad Badayuni