bichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujh se
bahut dinon meri aankhen juda rahin mujh se
main sans tak nahin leta parai KHushbu mein
jhijhak rahi hai yunhi shaKH-e-yasmin mujh se
mere gunah ki mujh ko saza nahin deta
mera KHuda kahin naraaz to nahin mujh se
ye shahkar kisi zid ka shaKHsana hai
ulajh raha tha bahut naqsh-e-awwalin mujh se
main taKHt par hun magar yun to KHak-zada hi
gurez karte hain kyun boriya-nashin mujh se
ujaD ujaD ke base hain mere dar-o-diwar
bichhaD bichhaD ke mile hain mere makin mujh se
bikhar rahi hai tap-e-intiqam se meri KHak
guzar rahi hai koi mauj-e-atishin mujh se
muhaal hai ki tamasha tamam ho 'shahid'
tamash-bin se main KHush tamash-bin mujh se
Ghazal
BichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujhse
Shahid Zaki