bichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin
safar mein jaise koi apne sath tha hi nahin
kisi se rabt baDhaen tu mat KHafa hona
ki dil mein ab teri yaadon ka silsila hi nahin
sab apne apne masiha ke intizar mein hain
kisi ka jaise zamane mein ab KHuda hi nahin
ek umr kaT gai kaghaz siyah karte hue
qalam ko apne jo likhna tha wo likha hi nahin
'qamar' wo shaKHs hamare nagar mein kya aaya
buton ko bhi hai gila koi pujta hi nahin

Ghazal
BichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin
Qamar Iqbal