bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai
wo bhi ek sham thi jab sath chhuTa tha us ka
wahime dil mein sar-e-sham dar aate hain kai
panw ki dhul bhi ban jati hai dushman apni
ghar se niklo to phir aaise safar aate hain kai
qarya-e-jaan se guzarna bhi kuchh aasan nahin
rah mein jafari shishe ke ghar aate hain kai
Ghazal
Bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
Fuzail Jafri