bhula hun main aalam ko sarshaar ise kahte hain
masti mein nahin ghafil hushyar ise kahte hain
gesu ise kahte hain ruKHsar ise kahte hain
sumbul ise kahte hain gulzar ise kahte hain
ek rishta-e-ulfat mein gardan hai hazaron ki
tasbih ise kahte hain zunnar ise kahte hain
mahshar ka kiya wada yan shakl na dikhlai
iqrar ise kahte hain inkar ise kahte hain
Takraata hun sar apna kya kya dar-e-jaanan se
jumbish bhi nahin karti diwar ise kahte hain
dil ne shab-e-furqat mein kya sath diya mera
munis ise kahte hain gham-KHwar ise kahte hain
KHamosh 'amanat' hai kuchh uf bhi nahin karta
kya kya nahin ai pyare aghyar ise kahte hain
Ghazal
Bhula hun main aalam ko sarshaar ise kahte hain
Amanat Lakhnavi