bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak
sag bhi na us ka aaya meri ustuKHan talak
go hum qafas se ja na sake bostan talak
uD uD ke rang-e-chehra gaya par wahan talak
bulbul hujum-e-gul hai chaman mein yahan talak
phulon se chha gaya hai tera aashiyan talak
kab pahunchi aah zoaf se gosh-e-butan talak
sau ja Thahar ke sine se aai zaban talak
parwaz pesh azin thi meri aasman talak
ab to chaman se ja na sakun aashiyan talak
aisa kiya zaif gham-e-intizar ne
aankhon ko meri bar hai KHwab-e-giran talak
aalim hun ilm-e-ishq ka main kar na ham-sari
ai andalib tu hai paDi bostan talak
us mah ke wasf se ye hua martaba buland
pahunchi meri ghazal ki zamin aasman talak
pas-e-adab raha hai junun mein bhi is qadar
aata hun sajde karta tere aastan talak
us mast ke hain gesuon ke silsile mein hum
saqi murid jis ka hai pir-e-mughan talak
rakkhen adab se panw na hum teri rah mein
bahar jab aap se hon to pahunchen wahan talak
fasl-e-KHizan mein gul ka to aana muhaal hai
bijli hi kash aae meri aashiyan talak
kyunkar na sar phire mera us tegh ke liye
gardish si justuju mein hai marg-e-nishan talak
sau bar apni fikr adam se pare gai
lekin na pahunchi yar ke mu-e-bayan talak
us hur ka makan hai jannat se bhi pare
rizwan pahunch sake na kabhi pasban talak
is darja fart-e-zoaf se hum pichhe rah gae
pahunchi na aah bhi jaras-e-karwan talak
dil mein hamare us ki mohabbat ne ghar kiya
pahuncha hai is makan se jo la-makan talak
allah re dimagh zara dekh ai huma
aaya na be-talab sag-e-yar ustuKHan talak
us mah ne jo sar mera Thukraya panw se
pahuncha dimagh aaj mera aasman talak
naKHl-e-murad-e-yar hua aaj barwar
sad shukr kaT ke sar mera pahuncha sinan talak
phir jae tir aa ke wo bargashta baKHt hun
ruKH phere dekh kar mujhe us ki kaman talak
marne ke baad hai sag-e-jaanan ka intizar
kah do huma na aae meri ustuKHan talak
sau bar aa ke maut bhi furqat mein phir gae
bargashtagi nasib ki kahiye kahan talak
'goya' ye na-tawani ka ehsan mujh pe hai
aane diya na yar ka shikwa zaban talak
Ghazal
Bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak
Goya Faqir Mohammad