اردو हिंदी
Bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa | Shaahi Shayari
bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

Ghazal

Bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

Hakeem Manzoor

;

bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa
us ki aankhen sari KHushbu us ka badan aaina sa

us ne bas itna hi pucha sabz chinar ab kitne hain
sar se pa tak laraz uTha main dil pe gira ek shoala sa

chaTTanon ke sine par bhi khul kar jo muskata hai
sar-masti ka sar-chashma hai wo ek pauda nanha sa

logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai maTiyala kyun
main ne jab is ko dekha tha ye tha ek aaina sa

barf shagufon ke mausam mein kash ek bar aa jate tum
mere KHaton ki KHushbuon ka hota kuchh andaza sa

phir bhi ai 'manzur' kisi par hath na ab tak uTTha mera
laDne ka fan sikh liya hai go main ne bhi thoDa sa