bhaTak ke rah se hum sab ko aazma aae
fareb de gae jitne bhi rahnuma aae
hum un ko haal dil-e-zar bhi suna aae
Kamala-e-jurat-e-izhaar bhi dikha aae
karen to kis se karen zikr-e-KHana-virani
ki hum to aag nasheman ko KHud laga aae
KHayal-e-wasl mein rahte hain raat bhar bedar
tumhaare hijr ke maron ko nind kya aae
rahin-e-aish-o-tarab hain jo roz o shab un ko
pasand kaise mere gham ka majra aae
kabhi hamein bhi mayassar ho ruThna un se
kabhi hamare bhi dil mein ye hausla aae
har ek se puchhte hain haal kirshn 'mohan' ka
jise ada-e-sitam se wo KHud miTa aae
Ghazal
BhaTak ke rah se hum sab ko aazma aae
Krishna Mohan