اردو हिंदी
BhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen | Shaahi Shayari
bhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen

Ghazal

BhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen

Mohammad Ahmad Ramz

;

bhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen
ye zanjir-e-giran toDen hum is pechaak se niklen

na maut aae jise aisa koi kirdar ho apna
kahani ban ke aisi dida-e-namnak se niklen

yahi parcham nishan-e-lashkar-e-baatil na ban jae
hum ek KHanjar sahi lekin kaf-e-saffak se niklen

saba ban kar abhi karne hain tai kitne safar hum ko
hum is miTTi ki KHushbu hain tilism-e-chaak se niklen

hamari ham-rahi tak hain sitare hon ki gul-buTe
zamin par ye ugen ya parda-e-aflak se niklen

sar-e-sahra abhi raqs-e-ghubar-e-qais baqi hai
abhi kuchh aur lailaen harim-e-KHak se niklen

janab-e-'ramz' be-masraf rifaqat ka junun kab tak
sawad-e-gul mein aap aaen KHas-o-KHashak se niklen