اردو हिंदी
Bhari aati hain har ghaDi aankhen | Shaahi Shayari
bhari aati hain har ghaDi aankhen

Ghazal

Bhari aati hain har ghaDi aankhen

Mushafi Ghulam Hamdani

;

bhari aati hain har ghaDi aankhen
goya sawan ki hain jhaDi aankhen

nargis aaTh aaTh aansu roti hai
yaad kar wo baDi baDi aankhen

sharar-afshani-e-sarishk se raat
thin meri jaise phuljhaDi aankhen

jun qalam-rau rahi hain ashk-e-siyah
dekh is missi ki dhaDi aankhen

'mushafi' dekh bad bala hai wo shoKH
na mila us se har ghaDi aankhen