اردو हिंदी
Bhare-pure se makan mein bhi shah tanha hai | Shaahi Shayari
bhare-pure se makan mein bhi shah tanha hai

Ghazal

Bhare-pure se makan mein bhi shah tanha hai

Shah Husain Nahri

;

bhare-pure se makan mein bhi 'shah' tanha hai
rida-e-shab ke kinare pe ek tara hai

bas ek lamha tha hail tujhe bhulane mein
ye kis maqam pe tera KHayal aaya hai

tamam gard hai chehra thaki thaki aankhen
udasiyon ka ye baadal bahut ghanera hai

shab-e-siyah mein hai teri hi yaad ka lapka
nigah Thokaren khati hai ghup andhera hai

nazar ki rah mein be-manzari si phaila kar
wo ek sitara sar-e-sham Dub jata hai

wo ek lamha-e-be-iKHtiyar jab main ne
tujhe chhua tha meri ungliyon mein jalta hai

us ek wahm ne zinda rakha kabhi meri
nazar ka lams tujhe gudgudane wala hai

KHuda ko saunp ke ruKHsat hua tha tu mujh se
mujhe KHuda hi ne ab tak sambhaal rakkha hai

tu aaj samne aae to kaise pahchanun
meri nazar mein to ab tak wahi sarapa hai