bhare moti hain goya tujh dahan mein
ki dur-rezi tu karta hai suKHan mein
bahaar-ara wahi hai har chaman mein
usi ki bu hai nasrin-o-saman mein
na phir idhar udhar nahaq bhaTakta
ki hai wo jalwa-gar tere hi man mein
jahan wo hai nahin wan kufr o islam
abas jhagDa hai shaiKH o barhaman mein
hui jati hai pani sharm se shama
magar wo mah aaya anjuman mein
chhuDaya tha nipaT mushkil se phir aah
dil aTka us ki zulf-e-pur-shikan mein
junun ne dast-kari aisi bhi ki
na tha goya gareban pairahan mein
mara jata hai jis ghairat mein dariya
gira kis ka hai dil chah-e-zaqan mein
magar parwana jal kar ho gaya KHak
ki ro-ro shama jalti hai lagan mein
jo sunte the dam-e-isa ka eajaz
so dekha hum ne wo tere suKHan mein
na dekha us pari-jalwa ko 'bedar'
raha mashghul tu yan ma-o-man mein
Ghazal
Bhare moti hain goya tujh dahan mein
Meer Mohammadi Bedar