اردو हिंदी
Bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha | Shaahi Shayari
bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha

Ghazal

Bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha

Siraj Aurangabadi

;

bhara kamal-e-wafa sen KHayal ka shisha
ki hoe badr sen pura hilal ka shisha

wo KHush-dahan ki judai sen narm gulshan mein
har ek ghuncha hai rang-e-malal ka shisha

KHayal-e-ariz-e-gul-rang ki tajalli sen
hai aaina araq-e-infial ka shisha

tamam bu-qalamuni ka hai tajalli-gah
nahin KHudai mein dil ki misal ka shisha

chaman mein aazim-e-holi hai wo basanti-posh
hua hai ghuncha-e-lala gulal ka shisha

KHushi sen charKH mein hai aaftab ki manind
mila jise mai-e-nur-e-jamal ka shisha

nabi ki aal ka ahwal sun hua pur-KHun
'siraj' dil hai mera rang-e-al ka shisha