اردو हिंदी
Bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai | Shaahi Shayari
bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai

Ghazal

Bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai

Azhar Faragh

;

bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai
zarur koi hawaon ke kan khinchta hai

kisi badan ki sayahat niDhaal karti hai
kisi ke hath ka takiya thakan khinchta hai

nashist ke to talabgar hi nahin hum log
hamare panw se kyun paedan khinchta hai

badal ke dekh chuki hai reaya sahib-e-taKHt
jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai

dikha raha hai KHaridar ban ke aaj mujhe
jise lapeT ke rakhkhun wo than khinchta hai

charaghon mein wo charagh is liye numayan hai
hum aise dekhne walon ka dhyan khinchta hai

ye sara jhagDa tere inhimak ka hi to hai
sameTta hai koi dastan khinchta hai