bhale bujhane ki zid pe hawa uDi hui hai
magar charagh ki lau aur bhi baDhi hui hai
main sochta hun use sar pe rakh liya jae
zamin kab se mere panw mein paDi hui hai
tumhaare lahje ki luknat bata rahi hai mujhe
ki tum ne KHud se hi ye dastan gaDhi hui hai
koi batae ghazala ko main shikari hun
wo be-takan meri rah mein khaDi hui hai
ye rang rang libason mein kuchh nahin hai 'faraaz'
ki sab ki asal qaba KHak se juDi hui hai
Ghazal
Bhale bujhane ki zid pe hawa uDi hui hai
Faraz Mahmood Fariz