اردو हिंदी
Bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar | Shaahi Shayari
bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar

Ghazal

Bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar

Krishna Kumar Toor

;

bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar
charagh rakhta hai lau par dam-e-hawa har bar

tu apne hathon ki ThanDak se kar mujhe manus
tu meri aankhon pe rakh shola-e-hina har bar

kabhi to mere lahu ke nishan banenge phul
main gham ke dasht se guzra barhana-pa har bar

ye meri zat se nisbat hui hai ab kis ko
main KHud ko dekhta hun kyun juda juda har bar

kabhi to chamkega dil ras aaegi duniya
jahan se guzra hun ye sochta hua har bar

bacha ke rakkhe salamat na koi jaan apni
sunai deti hai bas ek yahi sada har bar

wo 'tur' kyun meri baaton pe ghussa karta hai
akharta kyun hai use mera puchhna har bar