bhala ho jis kaam mein kisi ka to us mein waqfa na kijiyega
KHayal-e-zahmat na kijiyega malal-e-iza na kijiyega
wo mujh se farma rahe hain hans kar hamesha milne ki aarzu par
malal hoga muhaal shai ki kabhi tamanna na kijiyega
habab hai zindagi ka naqsha kahan ka din mah-o-sal kaisa
hawa hai ye dam ka kya bharosa ummid-e-farda na kijiyega
kiya to hai ishq hazrat-e-dil liya hai sar par ye bar-e-mushkil
hua agar muddaa na hasil to raaz ifsha na kijiyega
jo aap aaen pae ayaadat yaqin hai ho jae mujh ko sehat
magar bara-e-KHuda ye zahmat kabhi gawara na kijiyega
jo ahl-e-duniya ke the muKHalif hue wo duniya ke aur na din ke
samajhiye ab KHatma hai din ka jo fikr-e-duniya na kijiyega
ye qaeda rasm-o-rah ka hai KHayal donon taraf ho yaksan
kisi ko parwa na hogi jis dam kisi ki parwa na kijiyega
talluq ahl-e-jahan se ho gar to rakhiye bim-o-raja barabar
siwa KHuda ke kisi ke upar kabhi bharosa na kijiyega
aziz hai jauhar-e-amanat kisi se ulfat ho ya adawat
agar hai kuchh ghairat-e-sharafat to raaz ifsha na kijiyega
bayan ki ehtiyaj hai kab raha hai sirf ek harf-e-matlab
'habib' ka dard-e-dil suna sab ab is ka chaara na kijiyega
Ghazal
Bhala ho jis kaam mein kisi ka to usMein waqfa na kijiyega
Habeeb Musvi