bhala ghamon se kahan haar jaane wale the
hum aansuon ki tarah muskurane wale the
hamin ne kar diya elan-e-gumrahi warna
hamare pichhe bahut log aane wale the
unhen to KHak mein milna hi tha ki mere the
ye ashk kaun se unche gharane wale the
unhen qarib na hone diya kabhi main ne
jo dosti mein haden bhul jaane wale the
main jin ko jaan ke pahchan bhi nahin sakta
kuchh aise log mera ghar jalane wale the
hamara alamiya ye tha ki ham-safar bhi hamein
wahi mile jo bahut yaad aane wale the
'wasim' kaisi talluq ki rah thi jis mein
wahi mile jo bahut dil dukhane wale the
Ghazal
Bhala ghamon se kahan haar jaane wale the
Waseem Barelvi