اردو हिंदी
BhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka | Shaahi Shayari
bhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka

Ghazal

BhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka

Abrar Hamid

;

bhaDak uTha hai alaw tumhaari furqat ka
nahin hai tum pe asar phir bhi kyun mohabbat ka

maani hi to nahin kya badal gae us ke
wafa ko nam jo dete ho tum aziyyat ka

tumhi batao mere hoge aur kaise tum
ilaj-e-ijz bhi nikla nahin raunat ka

kisi ko pa liya tum ne to chhoD kar mujh ko
koi ilaj to kar do meri bhi hasrat ka