bhag ki manzil-e-qarar umr ki rahguzar nahin
is mein farar ke siwa aur koi mafar nahin
hai to bala-e-zindagi rasm-e-wafa magar nahin
baat ye hai ki KHair se shar pe meri nazar nahin
shaiKH jaza-e-kar-e-KHair ye jo bata raha hai aaj
baat to KHub hai magar aadmi mo'tabar nahin
bahr-e-husul-e-muddaa raat din ek kijiye
rah-e-talab ke waste sham nahin sahar nahin
rahte hain dur dur hum rasm-o-riwaj-e-zist se
chalte hain jis pe aam log apni wo rahguzar nahin
chhoD bhi dete mohtasib hum to ye shaghl-e-mai-kashi
zid ka sawal hai to phir ja isi baat par nahin
kaun hai jo nahin shikar is mein KHayal-e-KHam ka
kya hai ye bazm-e-zindagi dam-e-fareb agar nahin
'natiq'-e-nim-jaan agar hai bhi to subh-o-sham ka
kal to KHarab-haal tha aaj kuchh KHabar nahin
Ghazal
Bhag ki manzil-e-qarar umr ki rahguzar nahin
Natiq Gulavthi