bewafai us ne ki meri wafa apni jagah
KHun-e-dil apni jagah rang-e-hina apni jagah
kitne chehre aae apna nur kho kar chal diye
hai magar raushan abhi tak aaina apni jagah
zindagi ne us ko sahil se sadaen din bahut
waqt ka dariya magar bahta raha apni jagah
us ki mahfil se mujhe ab koi nisbat hi nahin
hai meri tanhaiyon ka silsila apni jagah
hum charaghon se karenge dosti ki baat ab
ye andheron ne kiya hai faisla apni jagah
to samundar aur meri zat ek qatra sahi
teri rahmat har taraf meri dua apni jagah
ab to mujh ko bhi sada dete hain 'dana' kah ke log
zindagi rahne de apna mashwara apni jagah
Ghazal
Bewafai usne ki meri wafa apni jagah
Abbas Dana