bewafa tha to nahin wo, magar aisa bhi hua
wo jo apna tha bahut aur kisi ka bhi hua
teri KHushbu bhi tere zaKHm mein malfuf mili
tujh se ghael bhi hua aur main achchha bhi hua
rah de di tere baadal ko guzarne ke liye
warna ye dil to teri pyas se sahra bhi hua
shukr wajib tha ise teri mohabbat ka, so dil
tera yusuf bhi raha, aur zuleKHa bhi hua
bhiD wo thi teri chaukhaT pe talab-garon ki
koi be-lams raha tera bulaya bhi hua
main ne taswir banai to muKHatib bhi hui
harf ko hath lagaya to wo zinda bhi hua
sajda-e-marg se mathe ko uThaya ek roz
main hua KHak to phir KHak se paida bhi hua
jitna ujDa hai koi shahr-e-tamanna ai dil
kabhi lagta hi tha itna basaya bhi hua

Ghazal
Bewafa tha to nahin wo, magar aisa bhi hua
Syed Kashif Raza