beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh
main kaun hun mujhe bhi zara aankh bhar ke dekh
kyun bad-guman hai KHalq-e-KHuda teri zat se
logon mein baiTh aur zara baat kar ke dekh
aisi kiran ki joD sake rishta-e-badan
in zulmaton mein fasle qalb-o-nazar ke dekh
dasht-e-bala mein kitne bagule hain ghat mein
main to guzar chuka zara tu bhi guzar ke dekh
eazaz-e-khusrawi se na meri wafa ko nap
fursat mile kabhi to mere zaKHm sar ke dekh
kis zahr ke asar se ulajhti hai meri sans
dam bhar dhuan dhuan si faza mein Thahar ke dekh
'shahin' wo ganw phir teri qismat mein ho na ho
behtar hai KHwab ujDe hue baam-o-dar ke dekh
Ghazal
Beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh
Javed Shaheen