'bedil' ka taKHayyul hun na ghaalib ki nawa hun
is qafila-e-rafta ka naqsh-e-kaf-e-pa hun
raqsan hai charaghan-e-tamanna mere harsu
wo raushaniyan hain ki main sae se juda hun
jab dasht-e-alam se koi jhonka kabhi aaya
main lala-e-KHud-raw ki tarah aur khila hun
zulmat-aman bhi hun ujalon ka amin bhi
main subh ke tare ki tarah Dub raha hun
aflak-rasi se bhi talafi nahin hoti
kis azm ki an-dekhi chaTanon se gira hun
har aks-e-muqabil se numayan hai mera naqsh
duniya mein hun ya aaina-KHane mein khaDa hun
mahdud hai kyun hadd-e-talab tak meri parwaz
main mauj-e-saba ho ke bhi zanjir-ba-pa hun
idrak ke shoalon ka chaman hai mera aahang
main barg-e-KHizan ho ke bhi gulzar-numa hun
ehsas ke ghunchon ki chaTak hai meri aawaz
main sina-e-afaq mein dhaDkan ki sada hun
har chand ki nas nas mein nihan barq-e-tapan hai
khul kar bhi barasta hun ki ghanghor ghaTa hun
ek ek kiran mein tere sau rang nazar aae
jab pichhle pahar chand ke hamrah chala hun
ek naghma-e-rangin hun lab-e-saz-e-mizha par
'sadiq' jaras-e-ghuncha hun taswir-e-sada hun

Ghazal
Bedil ka taKHayyul hun na ghaalib ki nawa hun
Sadique Naseem