bedar ho gae hain jo KHwab-e-giran se hum
aage nikal gae hain zaban-o-makan se hum
lag jaegi Thikane kabhi KHak-e-zindagi
lipTe rahenge gard-e-pas-e-karwan se hum
manzil bhi thi nigah mein gard-o-gubar-e-rah
le kar chale jo izn-e-safar kahkashan se hum
us sang-e-astan pe jhuka kar jabin-e-shauq
lo be-niyaz ho gae donon-jahan se hum
mana nahin hai yun hi hamare wajud ko
Takrae hain zamin se kabhi aasman se hum
aaghaz-o-intiha ki haqiqat se be-KHabar
sharh-e-hayat karte rahe darmiyan se hum
kya puchhte ho gardish-e-taqdir-e-karwan
pahunche wahin pe aa ke chale the jahan se hum
sajde hi yaad hain na tere sang-e-dar ka hosh
sar bhi jhuka ke dur rahe aastan se hum
kuchh bhi na tha 'raza' wo ba-juz dud-e-ah-e-shauq
tabir jis ko karte rahe aasman se hum

Ghazal
Bedar ho gae hain jo KHwab-e-giran se hum
Raza Jaunpuri