be-zabanon ko bhi goyai sikhana chahiye
kalima angusht-e-shahadat ko paDhana chahiye
KHal ruKHsar-e-munawwar ka dikhana chahiye
chand mein ai mehr-wash dhabba lagana chahiye
tel meri aankh ke til ka lagana chahiye
gesuon mein panja-e-mizhgan ka shana chahiye
bahr-e-zinat daman-e-shamshir mein o jang-ju
meri gardan ka tujhe paTTha lagana chahiye
aaj-kal mahw-e-safa-e-ariz-e-dil-dar hun
mere rahne ko ab aaine ka KHana chahiye
ghaT par talwar ke nahlaiyo mayyat meri
kushta-e-abru hun main kya ghusl-KHana chahiye
ai pari hai kis qadar aDiyal mera shab-dez-e-fikr
choTi ke mazmun ka us ko taziyana chahiye
tair-e-rang-e-hina ka murgh-e-jaan hota jalis
ab nagine ke shajar par aashiyana chahiye
KHat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar
nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye
josh-e-wahshat kah raha hai nikhat-e-gul ki tarah
aaj to diwar-e-gulshan phand jaana chahiye
wasf-e-dandan mein dur-e-mazmun ki hai hum ko talash
bahr-e-fikrat mein dila ghota lagana chahiye
chin-e-gesu se dikha do KHal-e-ariz ki bahaar
mere murgh-e-ruh ko ye dam dana chahiye
is tamanna par hua hun KHak main o jang-ju
meri miTTi ke tujhe meinDhe laDana chahiye
aariz-e-taban ke qul par bahr-e-daf-e-chashm-e-bad
KHal-e-ruKHsar-e-pari ka kala dana chahiye
panja-e-gulgun ke o gul hum hue hain andalib
panj-shaKHe par hamara aashiyana chahiye
chal nahin sakta hamara tausan-e-umr-e-rawan
baDh ke Dori ka qatil taziyana chahiye
baad muddat zinat-e-pahlu hua hai wo pari
aaj to ai dil tujhe baghlen bajaana chahiye
hun main ai jarrah zaKHmi tegh-e-naz-e-yar ka
Tanke bhi gardan ke Dori se lagana chahiye
atlas-e-gardun se atlas hai fuzun ai mah-ru
kahkashan ka tere shimle mein batana chahiye
nashsha hain ek bahr-e-KHubi ke hamari qabr par
chadar-e-ab-e-rawan ka shamiyana chahiye
midhat-e-saqi-e-kausar tujh ko likhni hai 'qalaq'
pahle aab-e-hauz-e-kausar se nahana chahiye
Ghazal
Be-zabanon ko bhi goyai sikhana chahiye
Arshad Ali Khan Qalaq