be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla
mera rishta wahi aaKHir ko zamin se nikla
mujh ko pahchan tu ai waqt main wo hun jo faqat
ek ghalati ke liye arsh-e-barin se nikla
ek mere aankh jhapakne ki zara der thi bas
wo qarib aata hua dur kahin se nikla
eDiyan mar ke zaKHmi bhi hue log magar
koi chashma nahin zarKHez zamin se nikla
Ghazal
Be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla
Azlan shah