be-waqt jo ghar se wo masiha nikal aaya
ghabra ke mere munh se kaleja nikal aaya
madfun hua zer-e-zamin kya koi wahshi
kyun KHak se ghabra ke bagula nikal aaya
aaine mein munh dekh ke maghrur hue aap
do shaklon se kaisa ye natija nikal aaya
zaKHmi jo kiya tum ne khule ishq ke asrar
jo kuchh ki mere dil mein nihan tha nikal aaya
Thukrane lage dil ko to barpa hue tufan
qatra jo haTane lage dariya nikal aaya
ab ruk nahin sakti hai 'munir' aah-e-jigar-soz
dam ghuTne laga munh se kaleja nikal aaya
Ghazal
Be-waqt jo ghar se wo masiha nikal aaya
Muneer Shikohabadi