be-wajh tahaffuz ki zarurat bhi nahin hai
aisi mere andar koi aurat bhi nahin hai
han un ko bhula Dalenge ek umr paDi hai
is kaam mein aisi koi ujlat bhi nahin hai
kis munh se gila aisi nigahon se ki jin mein
pahchan ki ab koi alamat bhi nahin hai
un ko bhi mujhe sher sunane ka hua hukm
kuchh sher se jin ko koi nisbat bhi nahin hai
mere bhi to mazi ki bahut si hain kitaben
par un ko palaTne ki to fursat bhi nahin hai
kuchh tum se gila aur kuchh apne se ki mujh ko
har haal mein KHush rahne ki aadat bhi nahin hai
main dafan rahun ab yunhi resham ke kafan mein
ab is ke siwa aur to surat bhi nahin hai
Ghazal
Be-wajh tahaffuz ki zarurat bhi nahin hai
Shabnam Shakeel