be-talluq ruh ka jab jism se rishta hua
ghar mein la-waris pas-e-manzar ka sannaTa hua
dhup lahje mein nokilapan kahan se laegi
hum ne dekha hai shafaq-suraj abhi bujhta hua
chahta hai dil kisi se raaz ki baaten kare
phul aadhi raat ka aangan mein hai mahka hua
surKH mausam ki kahani to purani ho gai
khul gaya mausam to sare shahr mein charcha hua
aasman zahrab-manzar gum-shuda bezariyan
lams tanhai ka lagta hai mujhe Dasta hua
har taraf roti hui KHamoshiyon ka shor hai
dekhna ye meri basti mein achanak kya hua
jism mera jagta hai donon aankhen band hain
aur sannaTa hai meri ruh tak utra hua
aafiyat gar chahte ho 'rind' wapas ghar chalo
ab tamasha-gah ka manzar hai kuchh bigDa hua
Ghazal
Be-talluq ruh ka jab jism se rishta hua
P P Srivastava Rind