be-sahaaron ka intizam karo 
yani ek aur qatl-e-am karo 
KHair-KHwahon ka mashwara ye hai 
Thokaren khao aur salam karo 
dab ke rahna hamein nahin manzur 
zalimo! jao apna kaam karo 
KHwahishen jaane kis taraf le jaen 
KHwahishon ko na be-lagam karo 
mezbanon mein ho jahan an-ban 
aisi basti mein mat qayam karo 
ye hunar bhi baDa zaruri hai 
kitna jhuk kar kise salam karo 
sanp aapas mein kah rahe hain 'hafiz' 
aastinon ka intizam karo
        Ghazal
Be-sahaaron ka intizam karo
Hafeez Merathi

