be-sada dam-ba-KHud faza se Dar
KHushk patta hai to hawa se Dar
kore kaghaz ki sadgi pe na ja
gung lafzon ki is rida se Dar
aasman se na is qadar ghabra
tu zamin ki saza jaza se Dar
jaane kis khunT tujh ko le jaen
shahzade nuqush-e-pa se Dar
tark-e-dast-e-talab pe mat itra
apne dil mein chhupe gada se Dar
arsh tak bhi uDan hai apni
hum parindon ki bad-dua se Dar
aarzu ek nae janam ki na kar
itni lambi kaDi saza se Dar
Ghazal
Be-sada dam-ba-KHud faza se Dar
Wazir Agha