be-sabab ho ke be-qarar aaya
mere pichhe mera ghubar aaya
chand yaadon ka shor tha mujh mein
main use qabr mein utar aaya
us ko dekha aur us ke baad mujhe
apni hairat pe e'tibar aaya
bhul baiTha hai rang-e-gul mera dil
partaw-e-gul pe itna pyar aaya
ek duniya ko chahta tha wo
ek duniya mein us pe war aaya
sans leti thi koi hairani
main jise lafz mein utar aaya
kuchh na aaya hamare kase mein
aur aaya to intizar aaya
kab mujhe us ne iKHtiyar diya
kab mujhe KHud pe iKHtiyar aaya
bar-e-wahshat koi uThata kya
so digar bar dil pe bar aaya
Ghazal
Be-sabab ho ke be-qarar aaya
Hammad Niyazi