اردو हिंदी
Be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna | Shaahi Shayari
be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna

Ghazal

Be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna

Meer Mohammadi Bedar

;

be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna
jis ke ye ausaf koi us se ho kya aashna

tang ho sae se apne jis ko ho na-ashna
wo but-e-wahshi-e-tabiat kis ka hoga aashna

wah wah ai dil-bar-e-kaj-fahm yunhi chahiye
hum se ho na-ashna ghairon se hona aashna

bad-mizaji na-KHushi aazurdagi kis waste
gar bure hum hain to ho jiye aur se ja aashna

ye sitam ye dard ye gham aur alam mujh par hua
kash ki tujh se main ai zalim na hota aashna

ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bewafa
kis tawaqqo par bhala ho koi tera aashna

aashna kahne ko yun to aap ke howenge sau
par koi ai mehrban aisa na hoga aashna

KHair-KHwah o muKHlis o fidwi jo kuchh kahiye so hun
aib kya hai gar rahe KHidmat mein mujh sa aashna

aashnai ki tawaqqoa kis se ho 'bedar' phir
ho gaya begana jab aisa hi apna aashna